Pages

Tuesday 28 June 2011

Ghazal By Me

Is Qadar door jate hain wo,
Ki bahut yaad Aate hain wo

khauf ki ik siyaah Raat men,
Jaise Deepak bujhate hain wo

Zindagi ke har ek mod par,
Hausla phir badhate hain wo

Zulf hai ya hai kaali Ghata,
Jaise Barkha bulate hain wo

Chant gayi Chand ki Roshni,
Rukh se parda Uthate hain wo

"RAAZ" ki baat hai Doston,
Apna Mahram batate hain Wo

Wednesday 15 June 2011

M. F. Hussain: Do gaz zameen bhi na mili

kitna hai badnaseeb Zafar Dafn k liye, Do gaz zameen bhi na mili kuye yaar me Mughal khandan k akhiri farmanbardar Bahadur Shah Zafar ka ye Sher watan se un ki mohabat aur usse duri se hue dukh ko dikhata hai. Bahadur Shah Zafar ko jilawatan karne wale Gairmulki Angrez the magar Hussain ko mulq badar hone par majbur karne wale unke apne hamwatan the jinhen tangnazar tabqe k alawa hukumat, mulk ka secular tabqa aur artist biradari barabar ki shariq hai. From: Inquilab paper

Khushi

Zindagi me khushiyan hamen tab hi hasil hoti hain jb hame kisi kaam ko karne me full confidence ho. Sahi kaha gaya hai ki, Hamen khushiyan mil sakti hain bure se bure waqt men Agar ham tham ke rakhen Roshni ka daman. Kahne ka Matlb ye hai ki jab tak hamare andar confidence aur ummid baqi rahegi hamen har haal me khushiyan milti rahengi. So be positive and trying to being a good man.

Zindagi ki Ahmiyat

Humko kharidne ki to Auqaat hi na thi,

hum apne aap bik gye khariidar dekh kar..........FAISAL


This is the best thinking search by my best frnd M. Faisal. Read, think and do which right. Be +ve.